Ek arsa beet gya uss waqt ko!!
par yaadein aaj bhi taaza hai
jaise kal hi ki baat ho
nazuk thi kalhai tab
jab kalam uthai thi humne
ek nayi kahani likhne
un berang panno par apni daastaan ghadne!!
Aaj bhi jab mud kar dekhta hun
toh duur waqt ki dhool mein sana
dhundh k uss paar
vo bachha nazar aata hai
jo ab bhi muskura raha hai
aaj bhi anchuha hai voh iss duniya ke jhanjat se
aaj bhi befikri mein jee raha hai vo!!
par yaadein aaj bhi taaza hai
jaise kal hi ki baat ho
nazuk thi kalhai tab
jab kalam uthai thi humne
ek nayi kahani likhne
un berang panno par apni daastaan ghadne!!
Aaj bhi jab mud kar dekhta hun
toh duur waqt ki dhool mein sana
dhundh k uss paar
vo bachha nazar aata hai
jo ab bhi muskura raha hai
aaj bhi anchuha hai voh iss duniya ke jhanjat se
aaj bhi befikri mein jee raha hai vo!!
Aaj bhi jab mud kar dekhta hun
Toh apni hi dhun par thirakti
ek dhundli si parchhai nazar aati h
Vo main hi hu!
ya shayad main nahi?
bas isi savaal ka javaab
dhoond raha hun main!!!
Toh apni hi dhun par thirakti
ek dhundli si parchhai nazar aati h
Vo main hi hu!
ya shayad main nahi?
bas isi savaal ka javaab
dhoond raha hun main!!!