Na tum muskurate , na yeh baat
hoti ,
Na tum saath aate, na
mulakaat hoti,
Na tum ladkharate, na
shuruvaat hoti,
Na
tum muskurate ,na yeh baat hoti….
Na tum sharmate , na kaliyan
mehekti,
Na tum gungunate ,na bulbul
chehekti,
Na gunche chatakte , na chaman
khilkhilate
Na panchiyon ki hi oonchi parwaaz hoti
Na
tum muskurate na yeh baat hoti….
Na dil yeh dhadakta na avaaz hoti ,
Na dhadkan hi hoti , na meri saans hoti
Na yaadon mein tumahari hum
aasun bahate,
Na mohabbat hi meri aaghaaz
hoti,
Na
tum muskurate na yeh baat hoti ….
Na hizaab tum uthate , na
suraj hi nikalta,
Na zamaana hi jagata na
shuruvaat hoti
Na badal garajte na barsat
hoti,
Na zulfein tum giraate ,na yeh
haseen raat hoti
Na tum muskurate na yeh baat
hoti........
Na tum muskurate na yeh baat hoti........