Friday, April 27, 2012

Na tum muskurate


Na tum muskurate , na yeh baat hoti ,
Na tum saath aate, na mulakaat  hoti,
Na tum ladkharate, na shuruvaat  hoti,
                        Na tum muskurate ,na yeh baat hoti….

Na tum sharmate , na kaliyan mehekti,
Na tum gungunate ,na bulbul chehekti,
Na gunche chatakte , na chaman khilkhilate
Na panchiyon ki hi oonchi  parwaaz hoti
                        Na tum muskurate na yeh baat hoti….

Na dil yeh dhadakta  na avaaz hoti ,
Na dhadkan hi hoti , na  meri saans hoti
Na yaadon mein tumahari hum aasun bahate,
Na mohabbat hi meri aaghaaz hoti,
                        Na tum muskurate na yeh baat hoti ….

Na hizaab tum uthate  , na  suraj hi nikalta,
Na zamaana hi jagata na shuruvaat hoti
Na badal garajte na barsat hoti,
Na zulfein tum giraate ,na yeh haseen raat hoti

Na tum muskurate na yeh baat hoti........
Na tum muskurate na yeh baat hoti........

No comments: