Thursday, May 16, 2013

Mausam mein ek shayari hai!!!

Tera milna bhi ittefaaq tha,
tera sang chalna bhi ittefaaq tha,
kaun kehta hai k har cheez ka maksad hota hai!!
tujhe paana tha maksad mera ,mera toh maksad bhi ittefaaq tha!!


Vo aati hai meri kabr par roz apne aashiq k saath
kaun kehta hai k dafnaane k baad jalaya nahi jaata


Na jaane uske dil mein kitni mehfilein kaid ho
jo akela baitha ho usse tanha nahi kehte


Mujhe dhoondne se pehle jag bhar mein
ik baar apne dil mein jhaank leta
main toh aaj bhi tere kareeb hu
tu ik avaaz toh deta



Na fikr se na kher se 
Na zulm se na zeher se 
Mujhe maut aaegi bas tere bair se! 

No comments: