Saturday, May 18, 2013

Tum ho nahi ya ho yahin

Tum ho nahi ya ho yahin
kyun mushkil batana lagta hai
har chehra mujhe bheed mein 
tera nazrana lagta hai

Tumhe chhoo nahi sakta hu main
fir kyu mehsus tum hote ho?
tumhe sunn nahi sakta hu main
fir kyu kaanon mein kuch kehte ho?

Bin tum iss baarish mein kuch khaas nahi,
na mausam ye suhana lagta hai
chand ki safedi ab ghatne lagi hai
ye suraj bhi ab puraana lagta hai

Tum ho nahi ya ho yahin
kyu mushkil batana lgta hai
har chehra mujhe bheed mein 
tera nazrana lagta hai

Bin tum andheri hai diwali
berang holi manana lagta hai
laut bhi aao ab saha nahi jaata
mushkil har lamha bitana lagta hai

Kisi ke bicchadne ka dard mujhe 
ab jaana pehchaana lagta hai
Tum ho nahi ya ho yahin
kyu mushkil batana lagta hai!!!!

No comments: